Read more: http://www.bloggerbelog.com/2012/02/disable-copy-paste-option-on-blogger.html#ixzz1y5eQMkYn

Monday, June 18, 2012

Breathless Reprise Song by Shankar Mahadevan

Breathless Album
Song: Breathless Reprise
Album:  Breathless (1998)


Download Link : Breathless Reprise
Speciality: Breathless song


Singer: Shankar Mahadevan
Lyrics : Javed Akhtar
Music: Shankar - Ehsaan - Loy



Lyrics :
Main hoon aur khoye hue pyar ki yaadein hain
Main hoon aur khoye hue pyar ki yaadein hain
Main hoon aur khoye hue pyar ki yaadein hain
Ab jo mere din hain aur ab jo meri raatein hain 
unme sirf aansoon hain 
Unme sirf dard ki, ranj ki baatein hain 
aur fariyaadein hain
Mera ab koi nahin
Main hoon aur khoye hue pyar ki yaadein hain
Doob gaya hai dil gham ke andhere mein
Meri saari duniya hai dard ke ghere mein
Mere saare geet dhale aanhon mein
Ban ke deewana ab yahaan wahaan phirta hoon
Thokar khaata hoon un raahon mein
Jahaan use dekha tha
Jahaan use chaaha tha
Jahaan main hansa tha aur baad mein roya tha
Jahaan use paaya tha, paake khoya tha
Jahaan kabhi phoolon ke, kaliyon ke saaye the
Rangeen rangeen mehki rut ne har ek kadam par raas rachaaye the gulshan gulshan
Din mein ujaale the
Jagmag jagmag noor tha raaton mein
Jahaan maine khwaabon ki dekhi thi manzil
Jahaan meri kashti ne paaya tha saahil
Jahaan maine paayi thi palko ki chhaon
Jahan meri baahon mein kal thi kisi ki malmali baahein
Jahaan ek chehre se hat-ti nahi thi meri nigaahein
Jahaan kal narmi hi narmi thi
Pyar hi pyar tha baaton mein
Haath the haathon mein
Jahaan kal gaaye the prem taraane
Jahaan kal dekhe the sapne suhaane
Kisi ko sunaaye the dil ke fasaane
Jahaan kal khaayi thi jeene ki marne ki kasmein
Todi thi duniya ki saari rasmein
Jahaan kal barsa tha preet ka baadal
Jahaan maine thaama tha koi aanchal
Jahaan pehli baar hua tha main paagal
Ab un raahon mein koi nahi hai
Ab hain woh raahein veeran veeran
Dil bhi hai jaise hairan hairan
Jaane kahaan gaya mere sapno ka mela
Aise hi khayaalon mein khoya khoya
Ghoom raha tha main khud se akela
Chanda sitare jaise koi gagan mein
Goonji sada koi mann aangan mein
Kisi ne pukara mujhe
Mud ke jo dekha maine
Mil gaya khoya hua dil ka sahara mujhe
Jise maine chaha tha
Jise maine pooja tha
Laut ke aaya hai
Thoda sharminda hai
Thoda ghabraya hai
Zulfein pareshan hain
Kaampte honth aur bheegi hui aankhein hain
Dekh raha hai mujhe gumsum gumsum
Uski nazar jaise poochh rahi ho
Itna bata do kahin khafa to nahi tum
Pyaar jo dekha phir meri nigaahon mein
Aake ruka phir woh meri hi baahon mein
Bhool gaya mera dil jaise har gham
Badal gaya jaise duniya ka mausam
Jhoome nazare aur jhoomi fizaayein
Aur jhoome chaman aur jhoomi hawayein
Jaise phir gaane lagi saari dishayein
Kitni haseen hain, kitni suhani
Yeh hum dono ki prem kahani
Hum dono ki prem kahani
Hum dono ki prem kahani

  • Share On Facebook
  • Digg This Post
  • Stumble This Post
  • Tweet This Post
  • Save Tis Post To Delicious
  • Float This Post
  • Share On Reddit
  • Bookmark On Technorati
Blog Gadgets

No comments:

Post a Comment